Search This Blog

Saturday, June 18, 2016

Urdu Poetry - Urdu Shayari & Ghazals, Best Pakistani Urdu Poem

Mujhe dost ban ke daghaa na de..


Mere hum-nafass mere hum-nawaa, mujhe dost ban ke dagha na de,

Main hoon dard-e-ishq se jaan ba-lab mujhe zindagi ki dua na de,


Main gham-e-jahan se nidhaal hoon ke saraapa huzn-o-malaal hoon,

Jo likhe hain mere naseeb main, woh alam kisi ko khuda na de,


Na yeh zindagi meri zindagi, na yeh dastaan meri daastan,

Main khayal o veham se door hoon, Mujhe aj koi sadaa na de,


Mere ghar se door hain raahaten, mujhe dhoondti hain museebten,

Mujhe khauf yeh ke mera pata koi gardashon ko bataa na de,


Mujhe chorr de mere haal pr, tera kya bharosa ae chaaragar,

Yeh teri nawaazish-e-mukhtasar, mera dard aur barrhaa na de,


Mera azam itna buland hai ke paraaye sholon ka ddar nahin,

Mujhe khauf aatish-e-gul se hai kahin yeh chaman ko jalaa na de,


Dar-e-yaar pe barri dhoom hai, wohi aashiqon ka hujoom hai,

Abhi neend aani hai husn ko, koi shor kar ke jagaa na de,


Mere daagh-e-dil se hai roshni, yehi roshni meri zindagi,

Mujhe dar hai ae mere chaaragar, yeh chiraagh tu hi bhujaa na de,


Woh uthe hain le ke khum-o-subuu, aray ae shakeel kahan hai tu,

Tera jaam lene ko bazm main, koi aur hath barrha na de..

No comments:

Post a Comment